Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bahar bahar dekh chuka to ab kuchh apne andar dekh

Nasr Ghazali

bahar bahar dekh chuka to ab kuchh apne andar dekh

Nasr Ghazali

MORE BYNasr Ghazali

    bāhar bāhar dekh chukā to ab kuchh apne andar dekh

    nazzāre lutf yahī hai alag alag har manzar dekh

    uupar uupar bahtā paanī nīche nīche aag dabī

    jaltī bujhtī aag ke andar sahrā dekh samundar dekh

    aag pe chalnā daar pe chalnā din ke nagar qissa ye

    shab kahānī ye ki badan par be-ḳhvābī chādar dekh

    raste baste ghar nahīñ ābād hai saarā shahar magar

    ik āsebī sannāTā hai andar dekh ki bāhar dekh

    ghar vaale bezār gharoñ se diloñ se ġhā.eb dildārī

    yahī tamāshā apne ghar meñ yahī tamāshā ghar ghar dekh

    kuchh kuchh aañkh meñ dard chhupā.e kuchh kuchh dil meñ Dartā

    aas sūkhī shāḳh pe baiThā ek parinda be-par dekh

    apnā apnā sar kāñdhe par sar par apnā apnā bojh

    duniyā ghar bojh uThā.e mujh ko dekh sarāsar dekh

    bahar bahar dekh chuka to ab kuchh apne andar dekh

    nazzare ka lutf yahi hai alag alag har manzar dekh

    upar upar bahta pani niche niche aag dabi

    jalti bujhti aag ke andar sahra dekh samundar dekh

    aag pe chalna dar pe chalna din ke nagar ka qissa ye

    shab ki kahani ye ki badan par be-KHwabi ki chadar dekh

    raste baste ghar hi nahin aabaad hai sara shahar magar

    ek aasebi sannaTa hai andar dekh ki bahar dekh

    ghar wale bezar gharon se dilon se ghaeb dildari

    yahi tamasha apne ghar mein yahi tamasha ghar ghar dekh

    kuchh kuchh aankh mein dard chhupae kuchh kuchh dil mein Darta sa

    aas ki sukhi shaKH pe baiTha ek parinda be-par dekh

    apna apna sar kandhe par sar par apna apna bojh

    duniya ghar ka bojh uThae mujh ko dekh sarasar dekh

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now