Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bahar galiyon mein virani andar kamra sannaTa

Sanjay Kumar Kundan

bahar galiyon mein virani andar kamra sannaTa

Sanjay Kumar Kundan

MORE BYSanjay Kumar Kundan

    bāhar galiyoñ meñ vīrānī andar kamra sannāTā

    haar gayā āvāz lashkar dekho jiitā sannāTā

    ḳhāmoshī ke nal se Tapaktīñ qatra-qatra āvāzeñ

    dīvāroñ sīlan par hai kaa.ī jaisā sannāTā

    garm dopahar meñ ye saḌkeñ hadd-e-nazar tak vīrāñ haiñ

    tez dhuup ke saare badan se bahtā pasīna sannāTā

    milnā-julnā gapp Thahāke pal pal apne saath chale

    āḳhirī shab sab chhūT ga.e bas ik sāthī thā sannāTā

    hoñToñ ke pahre-dāroñ ko niiñd de kar ek davā

    dil ke tah-ḳhāne meñ haule haule utrā sannāTā

    dastak degī ġhazal mehmāñ ehtimām ye us hai

    chaa.e pyālī raat syāhī gahrā pasrā sannāTā

    ek ghaḌī bhī chup nahīñ baiThā 'kundan' boltā rahtā thā

    kis ko pata us meñ pinhā thā jīvan bhar sannāTā

    bahar galiyon mein virani andar kamra sannaTa

    haar gaya aawaz ka lashkar dekho jita sannaTa

    KHamoshi ke nal se Tapaktin qatra-qatra aawazen

    diwaron ki silan par hai kai jaisa sannaTa

    garm dopahar mein ye saDken hadd-e-nazar tak viran hain

    tez dhup ke sare badan se bahta pasina sannaTa

    milna-julna gapp Thahake pal pal apne sath chale

    aaKHiri shab sab chhuT gae bas ek sathi tha sannaTa

    honTon ke pahre-daron ko nind ki de kar ek dawa

    dil ke tah-KHane mein haule haule utra sannaTa

    dastak degi ghazal ki mehman ehtimam ye us ka hai

    chae ki pyali raat ki syahi gahra pasra sannaTa

    ek ghaDi bhi chup nahin baiTha 'kundan' bolta rahta tha

    kis ko pata us mein pinha tha jiwan bhar ka sannaTa

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now