Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bahar nikal ke dekhiye tufan kam hua

Nomaan Shauque

bahar nikal ke dekhiye tufan kam hua

Nomaan Shauque

MORE BYNomaan Shauque

    bāhar nikal ke dekhiye tūfān kam huā

    mat roiye janāb nuqsān kam huā

    sāda-dilī meñ jaan gañvānī paḌī hameñ

    sab jhūTh kah rahe the ki haijān kam huā

    ham ishtihār vaale nahīñ she'r vaale the

    mehnat ziyāda ga.ī e'lān kam huā

    ham to tumhāre hijr meñ mar ga.e the yaar

    vāraftagī nahīñ thī so nuqsān kam huā

    terā pata sañbhāl ke rakkhā ye chaal thī

    maiñ apnī justujū meñ pareshān kam huā

    sehhat ġhusl kar ke kiyā 'ishq zeb-e-tan

    yā'nī badan maut pe īmān kam huā

    bahar nikal ke dekhiye tufan kam hua

    mat roiye janab ka nuqsan kam hua

    sada-dili mein jaan ganwani paDi hamein

    sab jhuTh kah rahe the ki haijaan kam hua

    hum ishtihaar wale nahin she'r wale the

    mehnat ziyaada ki gai e'lan kam hua

    hum to tumhaare hijr mein mar hi gae the yar

    waraftagi nahin thi so nuqsan kam hua

    tera pata sanbhaal ke rakkha ye chaal thi

    main apni justuju mein pareshan kam hua

    sehhat ka ghusl kar ke kiya 'ishq zeb-e-tan

    ya'ni badan ki maut pe iman kam hua

    Source:

    Aakhiri Ishq Sabse Pahle Kiya (Pg. 79)

    • Author: Nomaan Shauque
      • Edition: First
      • Publisher: Rekhta Publications
      • Year of Publication: 2018
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now