Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

baalidagi-e-zarf pe dikhlae gae log

Asra Rizvi

baalidagi-e-zarf pe dikhlae gae log

Asra Rizvi

MORE BYAsra Rizvi

    bālīdagī-e-zarf pe dikhlā.e ga.e log

    har gaam pe gum-nām hai miTvā.e ga.e log

    is farsh-e-tilismī ko atā kar farāġhat

    yuuñ tasht-e-farebī meñ bikhrā.e ga.e log

    qismat lakīroñ meñ jinheñ bāñdh ke rakkhā

    āzādī masnad pe bhī biThlā.e ga.e log

    har roz nayā ek tamāsha huā jaarī

    ārā.ish-e-duniyā meñ jo uljhā.e ga.e log

    pechīdgī-e-fikr meñ kyā ḳhuub phañsāyā

    ehsās ke shānoñ se suljhā.e ga.e log

    duniyā meñ darindoñ ko baḌe faḳhr se bhejā

    har zulm pe phir sabr se samjhā.e ga.e log

    ik ḳhauf thā us jā-e-pareshāñ fazā meñ

    be-ḳhauf jo kuchh nikle vo dhamkā.e ga.e log

    be-ḳhaufī se jab ḳhauf baḌhā ahl-e-jahāñ

    maqtūl hue ḳhaak meñ dafnā.e ga.e log

    haq chup rahe lab na khuleñ sar na uThā.e

    is vāste be-maut bhī marvā.e ga.e log

    nairañgī-e-kirdār pe hairān haiñ 'asrā'

    sau pahlū se ik bazm meñ milvā.e ga.e log

    baalidagi-e-zarf pe dikhlae gae log

    har gam pe gum-nam hai miTwae gae log

    is farsh-e-tilismi ko ata kar di faraghat

    yun tasht-e-farebi mein hi bikhrae gae log

    qismat ki lakiron mein jinhen bandh ke rakkha

    aazadi ki masnad pe bhi biThlae gae log

    har roz naya ek tamasha hua jari

    aaraish-e-duniya mein jo uljhae gae log

    pechidgi-e-fikr mein kya KHub phansaya

    ehsas ke shanon se hi suljhae gae log

    duniya mein darindon ko baDe faKHr se bheja

    har zulm pe phir sabr se samjhae gae log

    ek KHauf tha us ja-e-pareshan ki faza mein

    be-KHauf jo kuchh nikle wo dhamkae gae log

    be-KHaufi se jab KHauf baDha ahl-e-jahan ka

    maqtul hue KHak mein dafnae gae log

    haq chup hi rahe lab na khulen sar na uThae

    is waste be-maut bhi marwae gae log

    nairangi-e-kirdar pe hairan hain 'asra'

    sau pahlu se ek bazm mein milwae gae log

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now