Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

baalin pe ho ai jaan jo ranai se guzre

Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi

baalin pe ho ai jaan jo ranai se guzre

Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi

MORE BYPandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi

    bālīñ pe ho ai jaan jo ra.anā.ī se guzre

    murda mirā dekhe jo masīhā.ī se guzre

    ġham marne apne to na thā gor meñ jākar

    andeshe hazāroñ tirī ra.anā.ī se guzre

    dīvāne se pursish hai na vīrāne se hāsil

    nādānī meñ kyoñ ho.e dānā.ī se guzre

    bhariye vahīñ tak jis meñ na chhalke mire sāhib

    is tarah ham lāf-shakebā.ī se guzre

    kahte the vo kal sun ke 'nasīm' aap charchā

    aksar haiñ idhar se bhī vo saudā.ī se guzre

    baalin pe ho ai jaan jo ranai se guzre

    murda mera dekhe jo masihai se guzre

    gham marne ka apne to na tha gor mein jakar

    andeshe hazaron teri ranai se guzre

    diwane se pursish hai na virane se hasil

    nadani mein kyon hoe tu danai se guzre

    bhariye wahin tak jis mein na chhalke mere sahib

    is tarah ki hum laf-shakebai se guzre

    kahte the wo kal sun ke 'nasim' aap ka charcha

    aksar hain idhar se bhi wo saudai se guzre

    Source:

    Deewan-e-Naseem (Pg. 35)

    • Author: Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi
      • Publisher: Matba Gulshan-e-Faiz, Lucknow
      • Year of Publication: 1895
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now