Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

baam par aae kitni shan se aaj

Riyaz Khairabadi

baam par aae kitni shan se aaj

Riyaz Khairabadi

MORE BYRiyaz Khairabadi

    baam par aa.e kitnī shaan se aaj

    baḌh ga.e aap āsmān se aaj

    jab kahā ham ḳhafā haiñ jaan se aaj

    bole ḳhush kar deñ imtihān se aaj

    kis maze havā meñ mastī hai

    kahīñ barsī hai āsmān se aaj

    be-takalluf na ho koī un se

    bane baiThe haiñ mehmān se aaj

    maiñ ne chheḌā to kis adā se kahā

    kuchh sunoge mirī zabān se aaj

    dil ke TukḌoñ tarah ham ne chune

    TukḌe kuchh dil dāstān se aaj

    nīchī dāḌhī ne aabrū rakh

    qarz aa.e ik dukān se aaj

    ūñche koThoñ ke baiThne vaale

    bāteñ karte the āsmān se aaj

    nā-tavāñ dil be-zabāñ dil

    aap ne sun apne kaan se aaj

    koī kar 'riyāz' ko samjhā.e

    kuchh ḳhafā haiñ vo apnī jaan se aaj

    baam par aae kitni shan se aaj

    baDh gae aap aasman se aaj

    jab kaha hum KHafa hain jaan se aaj

    bole KHush kar den imtihan se aaj

    kis maze ki hawa mein masti hai

    kahin barsi hai aasman se aaj

    be-takalluf na ho koi un se

    bane baiThe hain mehman se aaj

    main ne chheDa to kis ada se kaha

    kuchh sunoge meri zaban se aaj

    dil ke TukDon ki tarah hum ne chune

    TukDe kuchh dil ki dastan se aaj

    nichi daDhi ne aabru rakh li

    qarz pi aae ek dukan se aaj

    unche koThon ke baiThne wale

    baaten karte the aasman se aaj

    na-tawan dil ki be-zaban dil ki

    aap ne sun li apne kan se aaj

    koi ja kar 'riyaz' ko samjhae

    kuchh KHafa hain wo apni jaan se aaj

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    baam par aae kitni shan se aaj Nomaan Shauque

    Source:

    Riyaz Rizwan (Pg. ebook-257 page-119)

    • Author: Niyaz Ahmad
      • Edition: 1938
      • Publisher: Aazam Steam Press, Hyderabad
      • Year of Publication: 1938
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now