Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bani-e-be-dad bhi tum tum sitam-ijad bhi

Sahir Siyalkoti

bani-e-be-dad bhi tum tum sitam-ijad bhi

Sahir Siyalkoti

MORE BYSahir Siyalkoti

    bānī-e-be-dād bhī tum tum sitam-ījād bhī

    sab gavārā hai agar sun lo mirī fariyād bhī

    is qadar baḌhtā chalā jaatā hai dil iztirāb

    bā.is-e-rāhat nahīñ hai ab tumhārī yaad bhī

    aur hoñge jin ko shikva hai tirī bedād

    ham vo haiñ jin ko ġhanīmat hai tirī bedād bhī

    husn-e-sīrat ik aisā husn is duniyā meñ hai

    dekh saktā hai jise har kor-e-mādar-zād bhī

    ik vo aañsū jo sar-e-mizhgāñ nikal kar aa gayā

    'ishq tafsīr bhī hai husn rūdād bhī

    maiñ ne donoñ se nibāhī is tarah hañs-bol kar

    bāġhbāñ bhī yaad kartā hai mujhe sayyād bhī

    miT chukī thī ek muddat se tumhārī aarzū

    rafta rafta miT rahī hai ab tumhārī yaad bhī

    ham ne is ḳhūbī se likkhā hai fasāna 'ishq

    log kahte haiñ isī ko husn rūdād bhī

    ik faqat daane ḳhātir kaun hotā hai asiir

    ham ko thā kuchh ehtirām-e-koshish-e-sayyād bhī

    terī ḳhātir ye bhī 'sāhir' ne gavārā kar liyā

    varna hotā hai ḳhushī se kyā koī barbād bhī

    bani-e-be-dad bhi tum tum sitam-ijad bhi

    sab gawara hai agar sun lo meri fariyaad bhi

    is qadar baDhta chala jata hai dil ka iztirab

    bais-e-rahat nahin hai ab tumhaari yaad bhi

    aur honge jin ko shikwa hai teri bedad ka

    hum wo hain jin ko ghanimat hai teri bedad bhi

    husn-e-sirat hi ek aisa husn is duniya mein hai

    dekh sakta hai jise har kor-e-madar-zad bhi

    ek wo aansu jo sar-e-mizhgan nikal kar aa gaya

    'ishq ki tafsir bhi hai husn ki rudad bhi

    main ne donon se nibahi is tarah hans-bol kar

    baghban bhi yaad karta hai mujhe sayyaad bhi

    miT chuki thi ek muddat se tumhaari aarzu

    rafta rafta miT rahi hai ab tumhaari yaad bhi

    hum ne is KHubi se likkha hai fasana 'ishq ka

    log kahte hain isi ko husn ki rudad bhi

    ek faqat dane ki KHatir kaun hota hai asir

    hum ko tha kuchh ehtiram-e-koshish-e-sayyaad bhi

    teri KHatir ye bhi 'sahir' ne gawara kar liya

    warna hota hai KHushi se kya koi barbaad bhi

    Source:

    Hareem-e-Sukhan (Pg. 69)

    • Author: Sahir Siyalkoti
      • Publisher: Charanjeet Laal
      • Year of Publication: 1959
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now