Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

baqi hai abhi zulf mein KHam aur zara sa

Iqbal Aslam

baqi hai abhi zulf mein KHam aur zara sa

Iqbal Aslam

MORE BYIqbal Aslam

    baaqī hai abhī zulf meñ ḳham aur zarā

    ai husn karam aur karam aur zarā

    ḳheme na lagāo ki bahut paas hai manzil

    baḌhte raho do-chār qadam aur zarā

    sahrāoñ se niklā thā kabhī chashma-e-zamzam

    aatī hai sadā aaj bhī tham aur zarā

    ik umr sarāboñ ko samajhte rahe dariyā

    rahne do hamārā ye bharam aur zarā

    phir chāñd ne bādal meñ chhupā rakkhā hai chehra

    phir hijr baḌh jaa.e na ġham aur zarā

    jaagā hai koī dard to ham jaag uThe haiñ

    kuchh aur sitam aur sitam aur zarā

    ā.īna-e-dil TūTne vaalā hai sar-e-shām

    kirchoñ meñ bikhar jā.eñge ham aur zarā

    'iqbāl' haiñ umDe hue bādal abhī dil meñ

    ai chashm zarā aur ho nam aur zarā

    baqi hai abhi zulf mein KHam aur zara sa

    ai husn karam aur karam aur zara sa

    KHeme na lagao ki bahut pas hai manzil

    baDhte raho do-chaar qadam aur zara sa

    sahraon se nikla tha kabhi chashma-e-zamzam

    aati hai sada aaj bhi tham aur zara sa

    ek umr sarabon ko samajhte rahe dariya

    rahne do hamara ye bharam aur zara sa

    phir chand ne baadal mein chhupa rakkha hai chehra

    phir hijr ka baDh jae na gham aur zara sa

    jaga hai koi dard to hum jag uThe hain

    kuchh aur sitam aur sitam aur zara sa

    aaina-e-dil TuTne wala hai sar-e-sham

    kirchon mein bikhar jaenge hum aur zara sa

    'iqbaal' hain umDe hue baadal abhi dil mein

    ai chashm zara aur ho nam aur zara sa

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now