bar-e-digar hum ahl-e-hunar sochte nahin
bār-e-digar ham ahl-e-hunar sochte nahīñ
chhāoñ luTāte vaqt shajar sochte nahīñ
ye zindagī ke mas.ale to saath saath haiñ
aa baiTh mai-kade meñ jigar sochte nahīñ
kaise kahāñ se ham ko ye gard-e-safar milī
kuchh sochnā to chāhiye par sochte nahīñ
gar chal paḌā hai saath to pīchhe na muḌ ke dekh
ai jān-e-jāñ ham ahl-e-safar sochte nahīñ
ham aise log 'ishq meñ bas jhūmte haiñ dost
bas jhūmte haiñ mahv-e-safar sochte nahīñ
bar-e-digar hum ahl-e-hunar sochte nahin
chhaon luTate waqt shajar sochte nahin
ye zindagi ke masale to sath sath hain
aa baiTh mai-kade mein jigar sochte nahin
kaise kahan se hum ko ye gard-e-safar mili
kuchh sochna to chahiye par sochte nahin
gar chal paDa hai sath to pichhe na muD ke dekh
ai jaan-e-jaan hum ahl-e-safar sochte nahin
hum aise log 'ishq mein bas jhumte hain dost
bas jhumte hain mahw-e-safar sochte nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.