bar-ha gor-e-dil jhanka laya
bār-hā gor-e-dil jhañkā laayā
ab ke shart-e-vafā bajā laayā
qadr rakhtī na thī matā-e-dil
saare aalam meñ maiñ dikhā laayā
dil ki yak qatra ḳhuuñ nahīñ hai besh
ek aalam ke sar balā laayā
sab pe jis baar ne girānī kī
us ko ye nā-tavāñ uThā laayā
dil mujhe us galī meñ le jā kar
aur bhī ḳhaak meñ milā laayā
ibtidā hī meñ mar ga.e sab yaar
ishq kī kaun intihā laayā
ab to jaate haiñ but-kade se 'mīr'
phir mileñge agar ḳhudā laayā
bar-ha gor-e-dil jhanka laya
ab ke shart-e-wafa baja laya
qadr rakhti na thi mata-e-dil
sare aalam mein main dikha laya
dil ki yak qatra KHun nahin hai besh
ek aalam ke sar bala laya
sab pe jis bar ne girani ki
us ko ye na-tawan uTha laya
dil mujhe us gali mein le ja kar
aur bhi KHak mein mila laya
ibtida hi mein mar gae sab yar
ishq ki kaun intiha laya
ab to jate hain but-kade se 'mir'
phir milenge agar KHuda laya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.