Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

barha Dub ke har bar ubhar aane ka

Kalim Shadab

barha Dub ke har bar ubhar aane ka

Kalim Shadab

MORE BYKalim Shadab

    bārhā Duub ke har baar ubhar aane

    zindagī naam hai mar mar ke jiye jaane

    mustarad jis ko kiyā ne bahāna kar ke

    vahī kirdār aham thā tire afsāne

    maiñ to sūraj ko hathelī pe liye phirtā huuñ

    maiñ charāġhoñ se miyāñ ḳhauf nahīñ khāne

    ahl-e-dānish haiñ takabbur meñ kareñ kyā sāhib

    un meñ jazba hai samajhne na samjhāne

    ham ne majzūb mizāj apnā banā rakkhā hai

    hai yahī ek bahāna tire yaad aane

    dil-e-muztar ye taḌap ishq e.azāz samajh

    chain mil jaa.e to har haal meñ Thukrāne

    is liye chāñd raushan haiñ bujhī ho kar bhī

    merī āñkhoñ meñ hai jo ḳhvāb tujhe paane

    mai-kashī nām-o-nasab jo ġhulām aaj huī

    sāqiyā raaz khulā ab tire maiḳhāne

    na majnūñ hai na farhād na rāñjhā 'shādāb'

    haañ magar aks hai tujh meñ kisī dīvāne

    barha Dub ke har bar ubhar aane ka

    zindagi nam hai mar mar ke jiye jaane ka

    mustarad jis ko kiya tu ne bahana kar ke

    wahi kirdar aham tha tere afsane ka

    main to suraj ko hatheli pe liye phirta hun

    main charaghon se miyan KHauf nahin khane ka

    ahl-e-danish hain takabbur mein karen kya sahib

    un mein jazba hai samajhne ka na samjhane ka

    hum ne majzub mizaj apna bana rakkha hai

    hai yahi ek bahana tere yaad aane ka

    dil-e-muztar ye taDap ishq ka eazaz samajh

    chain mil jae to har haal mein Thukrane ka

    is liye chand si raushan hain bujhi ho kar bhi

    meri aankhon mein hai jo KHwab tujhe pane ka

    mai-kashi nam-o-nasab ki jo ghulam aaj hui

    saqiya raaz khula ab tere maiKHane ka

    tu na majnun hai na farhad na ranjha 'shadab'

    han magar aks hai tujh mein kisi diwane ka

    Source:

    Husn-e-Taghazzul (Pg. 124)

    • Author: Kalim Shadab
      • Publisher: Ideal Publication House, Nagpur
      • Year of Publication: 2020
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now