Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

barish KHushbu rang hawa hain main aur tu

Naina Adil

barish KHushbu rang hawa hain main aur tu

Naina Adil

MORE BYNaina Adil

    bārish ḳhushbū rañg havā haiñ maiñ aur

    ḳhvāboñ be-nām sirā haiñ maiñ aur

    apnā ghar hai saat suroñ ke āñgan meñ

    gītoñ āzād fazā haiñ maiñ aur

    mannat ik Dorī haiñ pīpal se bañdhī

    jal meñ bahtā ek diyā haiñ maiñ aur

    jis ne janm diyā hai har afsāne ko

    bhūlī-bisrī koī kathā haiñ maiñ aur

    ek navelā lafz hazāroñ lafzoñ meñ

    rañgoñ meñ ik rañg nayā haiñ maiñ aur

    barish KHushbu rang hawa hain main aur tu

    KHwabon ka be-nam sira hain main aur tu

    apna ghar hai sat suron ke aangan mein

    giton ki aazad faza hain main aur tu

    mannat ki ek Dori hain pipal se bandhi

    jal mein bahta ek diya hain main aur tu

    jis ne janm diya hai har afsane ko

    bhuli-bisri koi katha hain main aur tu

    ek nawela lafz hazaron lafzon mein

    rangon mein ek rang naya hain main aur tu

    Source:

    Shabd (Pg. 122)

    • Author: Naina Adil
      • Publisher: Arshia Publications, Delhi
      • Year of Publication: 2018
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now