baat kahne ki chhupani thi hamein
baat kahne kī chhupānī thī hameñ
kuchh kahānī to sunānī thī hameñ
ho ga.e raazī ujaḌne ke liye
ik na.ī duniyā basānī thī hameñ
kab talak tūfān kā karte lihāz
naav sāhil par lagānī thī hameñ
ham akele hī safar karte rahe
ḳhaak āḳhir tak uḌānī thī hameñ
ham binā raḳht-e-safar ke chal paḌe
raah meñ mushkil uThānī thī hameñ
jaane kyoñ dekhā huā lagtā thā sab
har na.ī sūrat purānī thī hameñ
ab usī ko bhūlne lagte haiñ ham
vo kahānī jo zabānī thī hameñ
baat kahne ki chhupani thi hamein
kuchh kahani to sunani thi hamein
ho gae raazi ujaDne ke liye
ek nai duniya basani thi hamein
kab talak tufan ka karte lihaz
naw sahil par lagani thi hamein
hum akele hi safar karte rahe
KHak aaKHir tak uDani thi hamein
hum bina raKHt-e-safar ke chal paDe
rah mein mushkil uThani thi hamein
jaane kyon dekha hua lagta tha sab
har nai surat purani thi hamein
ab usi ko bhulne lagte hain hum
wo kahani jo zabani thi hamein
- Book : Raushni Jaari Karo (Pg. 67)
- Author : Manish Shukla
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.