Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

baat kuchh bhi na thi fasana hua

Gorbachan Singh Dayal Maghmum

baat kuchh bhi na thi fasana hua

Gorbachan Singh Dayal Maghmum

MORE BYGorbachan Singh Dayal Maghmum

    baat kuchh bhī na thī fasāna huā

    merī rusvā.ī bahāna huā

    thī ye ḳhvāhish kaheñge sab kuchh ham

    un ke aage to lab bhī na huā

    roz aatī hai ik na.ī aafat

    dil mirā jab se 'āshiqāna huā

    kyuuñ taḌaptā hai phir dil-e-muztar

    kis balā ye phir nishāna huā

    ne chhoḌā hai saath jab se nadīm

    haa.e dushman mirā zamāna huā

    mar jaanā thā ham ko to ik roz

    un furqat magar bahāna huā

    aaj kahte haiñ bāñdh kar gaThrī

    ġham 'maġhmūm' phir ravāna huā

    baat kuchh bhi na thi fasana hua

    meri ruswai ka bahana hua

    thi ye KHwahish kahenge sab kuchh hum

    un ke aage to lab bhi wa na hua

    roz aati hai ek nai aafat

    dil mera jab se 'ashiqana hua

    kyun taDapta hai phir dil-e-muztar

    kis bala ka ye phir nishana hua

    tu ne chhoDa hai sath jab se nadim

    hae dushman mera zamana hua

    mar hi jaana tha hum ko to ek roz

    un ki furqat magar bahana hua

    aaj kahte hain bandh kar gaThri

    gham ki 'maghmum' phir rawana hua

    Source:

    SAAZ-O-NAVA (Pg. 251)

      • Publisher: Raghu Nath suhai ummid
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now