Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

baat nikli to meri zat par aa kar Thahri

Navin Joshi

baat nikli to meri zat par aa kar Thahri

Navin Joshi

MORE BYNavin Joshi

    baat niklī to mirī zaat par aa kar Thahrī

    zaat se niklī to auqāt par aa kar Thahrī

    apne haq meñ kabhī isbāt nahīñ de paayā

    be-gunāhī mirī is baat par aa kar Thahrī

    jab bhī uTThī kabhī chehroñ ke liye merī nazar

    har dafa sirf hijābāt par aa kar Thahrī

    vo jo ik baat ki jis par na kabhī maiñ Thahrā

    sab har baat usī baat par aa kar Thahrī

    muḳhtasar rahī chāhat baġhāvat mujh meñ

    jab bhī sarkash huī hālāt par aa kar Thahrī

    is shanāsā.ī ko kaise maiñ shanāsā.ī kahūñ

    har mulāqāt mulāqāt par aa kar Thahrī

    kuchh adhūre se javābāt nādānī se

    merī hastī savālāt par aa kar Thahrī

    saarī duniyā meñ ujāloñ munādī kar ke

    aaj phir ek sahar raat par aa kar Thahrī

    baat nikli to meri zat par aa kar Thahri

    zat se nikli to auqat par aa kar Thahri

    apne haq mein kabhi isbaat nahin de paya

    be-gunahi meri is baat par aa kar Thahri

    jab bhi uTThi kabhi chehron ke liye meri nazar

    har dafa sirf hijabaat par aa kar Thahri

    wo jo ek baat ki jis par na kabhi main Thahra

    sab ki har baat usi baat par aa kar Thahri

    muKHtasar hi rahi chahat ki baghawat mujh mein

    jab bhi sarkash hui haalat par aa kar Thahri

    is shanasai ko kaise main shanasai kahun

    har mulaqat mulaqat par aa kar Thahri

    kuchh adhure se jawabaat ki nadani se

    meri hasti hi sawalat par aa kar Thahri

    sari duniya mein ujalon ki munadi kar ke

    aaj phir ek sahar raat par aa kar Thahri

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now