Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

baat ye tere siwa aur bhala kis se karen

Ayub Khawar

baat ye tere siwa aur bhala kis se karen

Ayub Khawar

MORE BYAyub Khawar

    baat ye tere sivā aur bhalā kis se kareñ

    jafā-kār huā hai to vafā kis se kareñ

    aa.ina sāmne rakkheñ to nazar aa.e

    tujh se jo baat chhupānī ho kahā kis se kareñ

    haath uljhe hue resham meñ phañsā baiThe haiñ

    ab batā kaun se dhāge ko judā kis se kareñ

    zulf se chashm-o-lab-o-ruḳh se ki tere ġham se

    baat ye hai ki dil-o-jāñ ko rihā kis se kareñ

    nahīñ hai to phir ai husn-e-suḳhan-sāz batā

    is bhare shahr meñ ham jaise milā kis se kareñ

    ne to apnī karnī thī so kar 'ḳhāvar'

    mas.ala ye hai ki ham us gilā kis se kareñ

    baat ye tere siwa aur bhala kis se karen

    tu jafa-kar hua hai to wafa kis se karen

    aaina samne rakkhen to nazar tu aae

    tujh se jo baat chhupani ho kaha kis se karen

    hath uljhe hue resham mein phansa baiThe hain

    ab bata kaun se dhage ko juda kis se karen

    zulf se chashm-o-lab-o-ruKH se ki tere gham se

    baat ye hai ki dil-o-jaan ko riha kis se karen

    tu nahin hai to phir ai husn-e-suKHan-saz bata

    is bhare shahr mein hum jaise mila kis se karen

    tu ne to apni si karni thi so kar li 'KHawar'

    masala ye hai ki hum us ka gila kis se karen

    Source:

    Tumhe.n Jaanee kii jaldii thii (Pg. 23)

    • Author: Ayub Khawar
      • Edition: 2010
      • Publisher: Al-Hamd Publications
      • Year of Publication: 2010
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now