baatin se mere usko sarokar bahut hai
bātin se mire us ko sarokār bahut hai
vo ek badan merā talabgār bahut hai
aatī hai musalsal koī mānūs sī āvāz
ek turfa-tamāsha pas-e-dīvār bahut hai
sahrā kī taraf yūñhī nahīñ aatā koī paañv
majnūñ tirī zanjīr meñ jhankār bahut hai
bas yaad kiye jaatā huuñ ghar-bār ko 'āzar'
bāzār se niklūñ to ye dushvār bahut hai
baatin se mere us ko sarokar bahut hai
wo ek badan mera talabgar bahut hai
aati hai musalsal koi manus si aawaz
ek turfa-tamasha pas-e-diwar bahut hai
sahra ki taraf yunhi nahin aata koi panw
majnun teri zanjir mein jhankar bahut hai
bas yaad kiye jata hun ghar-bar ko 'azar'
bazar se niklun to ye dushwar bahut hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.