Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

baaton baaton mein safar kaT rahe hain hum log

Kunal Danish

baaton baaton mein safar kaT rahe hain hum log

Kunal Danish

MORE BYKunal Danish

    bātoñ bātoñ meñ safar kaaT rahe haiñ ham log

    raat mushkil hai magar kaaT rahe haiñ ham log

    apnī āñkhoñ tabāhī se Dare haiñ itne

    har na.e ḳhvāb ke par kaaT rahe haiñ ham log

    apnī chīḳhoñ galā ghoñT ke ḳhāmoshī se

    apnī āvāz sar kaaT rahe haiñ ham log

    itnī shiddat se hameñ dhuup jalātī bhī nahīñ

    jitnī mehnat se shajar kaaT rahe haiñ ham log

    in buzurgoñ duāoñ se zamāne-bhar

    bad-duāoñ asar kaaT rahe haiñ ham log

    baaton baaton mein safar kaT rahe hain hum log

    raat mushkil hai magar kaT rahe hain hum log

    apni aankhon ki tabahi se Dare hain itne

    har nae KHwab ke par kaT rahe hain hum log

    apni chiKHon ka gala ghonT ke KHamoshi se

    apni aawaz ka sar kaT rahe hain hum log

    itni shiddat se hamein dhup jalati bhi nahin

    jitni mehnat se shajar kaT rahe hain hum log

    in buzurgon ki duaon se zamane-bhar ki

    bad-duaon ka asar kaT rahe hain hum log

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now