Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bawre man ki bawri KHushbu

Aradhana Prasad

bawre man ki bawri KHushbu

Aradhana Prasad

MORE BYAradhana Prasad

  bāvre man bāvrī ḳhushbū

  gītoñ ġhazloñ mohnī ḳhushbū

  mausam-e-ishq payām liye

  āsmānī āshiqī ḳhushbū

  ḳhudā kyā hai sāhirī tauba

  ḳhud bhar-bhar ke lauTtī ḳhushbū

  gahrī gahrī jhāñktī andar

  man samundar ko nāptī ḳhushbū

  kaalī rātoñ meñ jaane ġham kyuuñ hai

  luktī chhuptī sāñvarī ḳhushbū

  ban ke alfāz har raushan hai

  'mīr' jaise shā.erī ḳhushbū

  le ke jazbāt apne hoñToñ pe

  rah ga.ī chup boltī ḳhushbū

  bawre man ki bawri KHushbu

  giton ghazlon si mohni KHushbu

  mausam-e-ishq ka payam liye

  aasmani si aashiqi KHushbu

  ya KHuda kya hai sahiri tauba

  KHud hi bhar-bhar ke lauTti KHushbu

  gahri gahri si jhankti andar

  man samundar ko napti KHushbu

  kali raaton mein jaane gham kyun hai

  lukti chhupti si sanwari KHushbu

  ban ke alfaz har su raushan hai

  'mir' ki jaise shaeri KHushbu

  le ke jazbaat apne honTon pe

  rah gai chup si bolti KHushbu

  ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

  ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

  મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY

  Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

  GET YOUR PASS
  Speak Now