aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

baz dil yaad se unki na zara-bhar aaya

Farhat Ali Khan

baz dil yaad se unki na zara-bhar aaya

Farhat Ali Khan

MORE BYFarhat Ali Khan

    baaz dil yaad se un na zarā-bhar aayā

    vo na aayā to ḳhayāl un barābar aayā

    sāqiyā dard-bharā rahā paimāna-e-chashm

    so tirī baat pe chhalkā jo zarā-bhar aayā

    aah vo shiddat-e-ġham hai ki mirī āñkhoñ se

    būñd-do-būñd nahīñ ek samundar aayā

    jis se bachne ke liye band kiiñ āñkheñ ham ne

    band āñkhoñ pe bhī aage vahī manzar aayā

    ye jo sahrā meñ phirā kartā hai dīvāna

    ḳhud ko duniyā ke jhameloñ se chhuḌā kar aayā

    dil ko shiddat se tamannā thī tire kūche

    so baḌe shauq se us ko maiñ vahāñ dhar aayā

    baz dil yaad se un ki na zara-bhar aaya

    wo na aaya to KHayal un ka barabar aaya

    saqiya dard-bhara hi raha paimana-e-chashm

    so teri baat pe chhalka jo zara-bhar aaya

    aah wo shiddat-e-gham hai ki meri aankhon se

    bund-do-bund nahin ek samundar aaya

    jis se bachne ke liye band kin aankhen hum ne

    band aankhon pe bhi aage wahi manzar aaya

    ye jo sahra mein phira karta hai diwana sa

    KHud ko duniya ke jhamelon se chhuDa kar aaya

    dil ko shiddat se tamanna thi tere kuche ki

    so baDe shauq se us ko main wahan dhar aaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now