Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bach kar kahan main unki nazar se nikal gaya

Wazir Ali Saba Lakhnavi

bach kar kahan main unki nazar se nikal gaya

Wazir Ali Saba Lakhnavi

MORE BYWazir Ali Saba Lakhnavi

    bach kar kahāñ maiñ un nazar se nikal gayā

    ik tiir thā ki saaf jigar se nikal gayā

    ḳhud raftagī chashm-e-haqīqat jo huī

    darvāza khul gayā to maiñ ghar se nikal gayā

    mahv-e-jamāl rah ga.e ham kuchh ḳhabar nahīñ

    aayā kidhar se yaar kidhar se nikal gayā

    kaisā havā huā mire rone ko dekh kar

    dāmān-e-abr dīda-e-tar se nikal gayā

    rone se hijr-e-yār meñ taskīn ho ga.ī

    dil buḳhār dīda-e-tar se nikal gayā

    āḳhir kiyā aḳhīr-e-shab-e-vasl ne mujhe

    dam pahlī bāñg-e-murġh-e-sahar se nikal gayā

    aahoñ ne mujh ko ātish-e-ġham se najāt

    mānind-e-dūd nār-e-saqar se nikal gayā

    dikhlāyā nā-tavānī ne ghar yaar mujhe

    misl-e-nigāh rauzan-e-dar se nikal gayā

    saaqī chashm-e-mast ne aise dhueñ uḌaa.e

    sho.ala ek ātish-e-tar se nikal gayā

    joban se Dhal chalī haiñ kahāñ ab laTak chaal

    vo pech un ke mū-e-kamar se nikal gayā

    us gul ke dāġh-e-ishq ne aisā kiyā gudāz

    ghul ghul ke maġhz sham.a ke sar se nikal gayā

    mushkil hai ai 'sabā' pa karo jabr iḳhtiyār

    hai ḳhair dil jo ishq ke shar se nikal gayā

    bach kar kahan main un ki nazar se nikal gaya

    ek tir tha ki saf jigar se nikal gaya

    KHud raftagi hi chashm-e-haqiqat jo wa hui

    darwaza khul gaya to main ghar se nikal gaya

    mahw-e-jamal rah gae hum kuchh KHabar nahin

    aaya kidhar se yar kidhar se nikal gaya

    kaisa hawa hua mere rone ko dekh kar

    daman-e-abr dida-e-tar se nikal gaya

    rone se hijr-e-yar mein taskin ho gai

    dil ka buKHar dida-e-tar se nikal gaya

    aaKHir kiya aKHir-e-shab-e-wasl ne mujhe

    dam pahli bang-e-murgh-e-sahar se nikal gaya

    aahon ne mujh ko aatish-e-gham se najat di

    manind-e-dud nar-e-saqar se nikal gaya

    dikhlaya na-tawani ne ghar yar ka mujhe

    misl-e-nigah rauzan-e-dar se nikal gaya

    saqi ki chashm-e-mast ne aise dhuen uDae

    shoala sa ek aatish-e-tar se nikal gaya

    joban se Dhal chali hain kahan ab laTak ki chaal

    wo pech un ke mu-e-kamar se nikal gaya

    us gul ke dagh-e-ishq ne aisa kiya gudaz

    ghul ghul ke maghz shama ke sar se nikal gaya

    mushkil hai ai 'saba' pa karo jabr iKHtiyar

    hai KHair dil jo ishq ke shar se nikal gaya

    Source:

    Ghuncha-e-Arzu (Pg. 15)

    • Author: Wazir Ali Saba Lakhnavi
      • Edition: 1856
      • Publisher: Matba Mohammadi, Lucnow
      • Year of Publication: 1856
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now