bachpana guzra aaya ahd-e-shabab
bachpanā guzrā aayā 'ahd-e-shabāb
uḌ ga.ī niiñd dekhne lagā ḳhvāb
chāñdnī phailī hai mire ghar meñ
jāgtā huuñ ki dekhtā huuñ ḳhvāb
talab-e-dīd par girī bijlī
chāhne vaale kā yahī thā javāb
kyoñ na phir ġhash pe ġhash mujhe aa.e
un ko āġhosh meñ liye hai shabāb
zulfeñ bikhrī haiñ rū-e-anvar par
jān-e-‘āshiq pe hai do-gūna 'azāb
bhejā masjid se mai-kade kī taraf
shaiḳh ko bhī dikhā dī rāh-e-savāb
hasrateñ saarī mar ga.iiñ dil kī
kaisā ābād ghar huā hai ḳharāb
mausam-e-gul ho sāġhar-e-mul ho
but-e-rā'nā ho aur 'ahd-e-shabāb
na rahe phir namāz kī hājat
shaiḳh gar pī leñ ek jām-e-sharāb
āsmāñ par jo māh-e-kāmil hai
ham ne dekhā zamīñ pe us kā javāb
kis ne ruḳh se naqāb ulTī hai
māh-e-kāmil ko aa rahā hai hijāb
bachpana guzra aaya 'ahd-e-shabab
uD gai nind dekhne laga KHwab
chandni phaili hai mere ghar mein
jagta hun ki dekhta hun KHwab
talab-e-did par giri bijli
chahne wale ka yahi tha jawab
kyon na phir ghash pe ghash mujhe aae
un ko aaghosh mein liye hai shabab
zulfen bikhri hain ru-e-anwar par
jaan-e-‘ashiq pe hai do-guna 'azab
bheja masjid se mai-kade ki taraf
shaiKH ko bhi dikha di rah-e-sawab
hasraten sari mar gain dil ki
kaisa aabaad ghar hua hai KHarab
mausam-e-gul ho saghar-e-mul ho
but-e-ra'na ho aur 'ahd-e-shabab
na rahe phir namaz ki hajat
shaiKH gar pi len ek jam-e-sharab
aasman par jo mah-e-kaamil hai
hum ne dekha zamin pe us ka jawab
kis ne ruKH se naqab ulTi hai
mah-e-kaamil ko aa raha hai hijab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.