Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bad-gumani ka ye aalam har jagah palne laga hai

Ritu Singh Rajput Rit

bad-gumani ka ye aalam har jagah palne laga hai

Ritu Singh Rajput Rit

MORE BYRitu Singh Rajput Rit

    bad-gumānī ye aalam har jagah palne lagā hai

    bhiiḌ tanhā safar ab ruuh ko khalne lagā hai

    ab falak key raushnī aatī nahīñ hai ghar meñ mere

    nuur merī ziist ab din-ba-din Dhalne lagā hai

    yaar hai ḳhanjar bhī hai to faisla bhī ho jaa.e

    vaqt aayā hai agar to vaqt kyoñ Talne lagā hai

    shab meñ apne parindo key huā hai peḌ būḌhā

    āñdhiyoñ se jo laḌā dīmak se vo galne lagā hai

    be-sabab yuuñ raat ko sab chāñd se bāteñ na karte

    dard har ik shaḳhs meñ ab fasl phalne lagā hai

    āsmāñ ke manch par ye chāñd sūraj key kahānī

    ek ugne jo lagā to dūsrā Dhalne lagā hai

    bad-gumani ka ye aalam har jagah palne laga hai

    bhiD ka tanha safar ab ruh ko khalne laga hai

    ab falak key raushni aati nahin hai ghar mein mere

    nur meri zist ka ab din-ba-din Dhalne laga hai

    yar hai KHanjar bhi hai to faisla bhi ho hi jae

    waqt aaya hai agar to waqt kyon Talne laga hai

    shab mein apne parindo key hua hai peD buDha

    aandhiyon se jo laDa dimak se wo galne laga hai

    be-sabab yun raat ko sab chand se baaten na karte

    dard har ek shaKHs mein ab fasl sa phalne laga hai

    aasman ke manch par ye chand suraj key kahani

    ek ugne jo laga to dusra Dhalne laga hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now