Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bad-nasibi ki suli pe nind aa gai KHwab dekha magar KHwab ne kya diya

Ahmad Jahangir

bad-nasibi ki suli pe nind aa gai KHwab dekha magar KHwab ne kya diya

Ahmad Jahangir

MORE BYAhmad Jahangir

    bad-nasībī suulī pe niiñd aa ga.ī ḳhvāb dekhā magar ḳhvāb ne kyā diyā

    ḳhush-gumānī ḳhush-rang qindīl ne nā-murādoñ ko sahrā meñ bhaTkā diyā

    shāmiyāne meñ dariyāñ lapeTī ga.iiñ dost uThne lage kuchh ne kandhā diyā

    bain karte huī aurteñ haT ga.iiñ aur mere janāze ko rasta diyā

    do ghaḌī meñ mirī asr Dhaltī huī uTh ke maġhrib dīvār se lagī

    aur mādūm hote hue chāñd ne aah bhartī huī shab ko pursa diyā

    maiñ tavaqquf ke kone meñ gosha-nashīñ 'mīr' sāhib tasvīr taktā rahā

    shabd parde ke pīchhe se zāhir hue sher ne jhuk ke hāthoñ ko bosa diyā

    āsmānī sahīfoñ tārīḳh hai nā-shanāsoñ meñ haadī satā.e ga.e

    pāk-bāzoñ pe tohmat lagā.ī ga.ī pārsāoñ ko duniyā ne dhoka diyā

    jab zamāne ke hāthoñ satā.e hue chand sādāt multān meñ bas ga.e

    maa.ī dhartī ne māthoñ tāzīm shāh-e-dariyā ne talvoñ ko bosa diyā

    yaar ‘ahmad-jahāñgīr' jiite raho shahr meñ ḳhair-maqdam hangām thā

    vaah barbat ko sahrā meñ pheñk aa.e ho aur mash.al ko miTTī meñ dafnā diyā

    bad-nasibi ki suli pe nind aa gai KHwab dekha magar KHwab ne kya diya

    KHush-gumani ki KHush-rang qindil ne na-muradon ko sahra mein bhaTka diya

    shamiyane mein dariyan lapeTi gain dost uThne lage kuchh ne kandha diya

    bain karte hui aurten haT gain aur mere janaze ko rasta diya

    do ghaDi mein meri asr Dhalti hui uTh ke maghrib ki diwar se ja lagi

    aur madum hote hue chand ne aah bharti hui shab ko pursa diya

    main tawaqquf ke kone mein gosha-nashin 'mir' sahib ki taswir takta raha

    shabd parde ke pichhe se zahir hue sher ne jhuk ke hathon ko bosa diya

    aasmani sahifon ki tariKH hai na-shanason mein hadi satae gae

    pak-bazon pe tohmat lagai gai parsaon ko duniya ne dhoka diya

    jab zamane ke hathon satae hue chand sadat multan mein bas gae

    mai dharti ne mathon ki tazim ki shah-e-dariya ne talwon ko bosa diya

    yar ‘ahmad-jahangir' jite raho shahr mein KHair-maqdam ka hangam tha

    wah barbat ko sahra mein phenk aae ho aur mashal ko miTTi mein dafna diya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now