Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

baDa kumba hai chhoTi degchi hai

Chand Kakralvi

baDa kumba hai chhoTi degchi hai

Chand Kakralvi

MORE BYChand Kakralvi

    baḌā kumba hai chhoTī degchī hai

    aur us par bhuuk muñh khole khaḌī hai

    jidhar ho udhar dekhtī hai

    hamārī aañkh bhī sūraj-mukhī hai

    mire maulā abhī sūraj na nikle

    koī tahrīr shabnam likh rahī hai

    koī nusḳha na hogā kārgar ab

    mohabbat kaam apnā kar chukī hai

    'ināyat par kisī rahe haiñ

    hamārī zindagī kyā zindagī hai

    mirī dil-jūī ḳhātir kisī ne

    dahaktī aag dāman meñ rakhī hai

    zamīñ meñ bhī utar jā.egā sūraj

    abhī to barf chādar haTī hai

    faqat ḳhushbū nahīñ titlī chāhat

    vo phūloñ lahū bhī chāTtī hai

    nazar aatā nahīñ kuchh bhī kisī ko

    bazāhir raushnī raushnī hai

    baDa kumba hai chhoTi degchi hai

    aur us par bhuk munh khole khaDi hai

    jidhar tu ho udhar hi dekhti hai

    hamari aankh bhi suraj-mukhi hai

    mere maula abhi suraj na nikle

    koi tahrir shabnam likh rahi hai

    koi nusKHa na hoga kargar ab

    mohabbat kaam apna kar chuki hai

    'inayat par kisi ki ji rahe hain

    hamari zindagi kya zindagi hai

    meri dil-jui ki KHatir kisi ne

    dahakti aag daman mein rakhi hai

    zamin mein bhi utar jaega suraj

    abhi to barf ki chadar haTi hai

    faqat KHushbu nahin titli ki chahat

    wo phulon ka lahu bhi chaTti hai

    nazar aata nahin kuchh bhi kisi ko

    bazahir raushni hi raushni hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now