Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

badal ke rakh denge ye tasawwur ki aadmi ka waqar kya hai

Baqar Mehdi

badal ke rakh denge ye tasawwur ki aadmi ka waqar kya hai

Baqar Mehdi

MORE BYBaqar Mehdi

    badal ke rakh deñge ye tasavvur ki aadmī vaqār kyā hai

    ḳhalā meñ vo chāñd nāchtā hai zamāñ makāñ hisār kyā hai

    bahak ga.e the sambhal ga.e haiñ sitam had se nikal ga.e haiñ

    ham ahl-e-dil ye samajh ga.e haiñ kashākash-e-rozgār kyā hai

    abhī na pūchho ki lāla-zāroñ se uTh rahā hai dhuāñ vo kaisā

    magar ye dekho ki phuul banñe ārzū-mand ḳhaar kyā hai

    vahī bane dushman-e-tamannā jinheñ sikhāyā thā ham ne jiinā

    agar ye pūchheñ to kis se pūchheñ ki dostī shi.ār kyā hai

    kabhī hai shabnam kabhī sharārā falak se TuuTā to ek taarā

    ġham-e-mohabbat ke rāzdāro ye gauhar-e-ābdār kyā hai

    bahār tum na.ī kalī ho abhī abhī jhuum kar khilī ho

    magar kabhī ham se yūñhī pūchho ki hasratoñ mazār kyā hai

    ba-īñ tabāhī dikhā.e ham ne vo mo.ajize āshiqī ke tum ko

    ba-īñ adāvat kabhī na kahnā ki aap ḳhāksār kyā hai

    bane koī ilm o fan mālik ki maiñ huuñ rāh-e-vafā sālik

    nahīñ hai shohrat fikr 'bāqar' ġhazal ik rāzdār kyā hai

    badal ke rakh denge ye tasawwur ki aadmi ka waqar kya hai

    KHala mein wo chand nachta hai zaman makan ka hisar kya hai

    bahak gae the sambhal gae hain sitam ki had se nikal gae hain

    hum ahl-e-dil ye samajh gae hain kashakash-e-rozgar kya hai

    abhi na puchho ki lala-zaron se uTh raha hai dhuan wo kaisa

    magar ye dekho ki phul banne ka aarzu-mand KHar kya hai

    wahi bane dushman-e-tamanna jinhen sikhaya tha hum ne jina

    agar ye puchhen to kis se puchhen ki dosti ka shiar kya hai

    kabhi hai shabnam kabhi sharara falak se TuTa to ek tara

    gham-e-mohabbat ke raazdaro ye gauhar-e-abdar kya hai

    bahaar ki tum nai kali ho abhi abhi jhum kar khili ho

    magar kabhi hum se yunhi puchho ki hasraton ka mazar kya hai

    ba-in tabahi dikhae hum ne wo moajize aashiqi ke tum ko

    ba-in adawat kabhi na kahna ki aap sa KHaksar kya hai

    bane koi ilm o fan ka malik ki main hun rah-e-wafa ka salik

    nahin hai shohrat ki fikr 'baqar' ghazal ka ek raazdar kya hai

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    badal ke rakh denge ye tasawwur ki aadmi ka waqar kya hai Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now