badalte waqt se badla nahin nazara-e-ishq
badalte vaqt se badlā nahīñ nazāra-e-'ishq
vo āsmān-e-ḳhamoshī vahī sitāra-e-'ishq
ham ahl-e-'ishq ko aatā hai hukm-e-'ishq sadā
kitāb-e-'ishq se karte haiñ istiḳhāra-e-'ishq
hamārī ziist hī kyā barg-hā-e-ḳhushk kā Dher
aur is kī samt ravāna koī sharāra-e-'ishq
ham is ḳhayāl se us chashm-e-nam meñ utre the
hai nahr-e-'ishq to hogā kahīñ kināra-e-'ishq
badalte waqt se badla nahin nazara-e-'ishq
wo aasman-e-KHamoshi wahi sitara-e-'ishq
hum ahl-e-'ishq ko aata hai hukm-e-'ishq sada
kitab-e-'ishq se karte hain istiKHara-e-'ishq
hamari zist hi kya barg-ha-e-KHushk ka Dher
aur is ki samt rawana koi sharara-e-'ishq
hum is KHayal se us chashm-e-nam mein utre the
hai nahr-e-'ishq to hoga kahin kinara-e-'ishq
- Book : Subh Bakhair Zindagi (Pg. 90)
- Author :Ameer Imam
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.