aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

badan aur ruh mein jhagDa paDa hai

Farhat Ehsas

badan aur ruh mein jhagDa paDa hai

Farhat Ehsas

MORE BYFarhat Ehsas

    badan aur ruuh meñ jhagḌā paḌā hai

    ki hissa ishq meñ kis baḌā hai

    hujūm-e-girya se huuñ dar-ba-dar maiñ

    ki ghar meñ sar talak paanī khaḌā hai

    bulātī hai mujhe dīvār-e-duniyā

    jahāñ har jism īñToñ jaḌā hai

    jhiñjhoḌā hai abhī kis zalzale ne

    zamīñ se zindagī kyā jhaḌā hai

    faqat āñkheñ āñkheñ rah ga.ī haiñ

    ki saarā shahr miTTī meñ gaḌā hai

    tumhārā aks hai aks-e-duniyā

    tazabzub kuchh āñkhoñ meñ paḌā hai

    maiñ dariyā jaañ bachātā phir rahā huuñ

    koī sāhil mire pīchhe paḌā hai

    zarā sharm bhī kar farhat-'ehsās'

    badan terā ajab chiknā ghaḌā hai

    badan aur ruh mein jhagDa paDa hai

    ki hissa ishq mein kis ka baDa hai

    hujum-e-girya se hun dar-ba-dar main

    ki ghar mein sar talak pani khaDa hai

    bulati hai mujhe diwar-e-duniya

    jahan har jism inTon sa jaDa hai

    jhinjhoDa hai abhi kis zalzale ne

    zamin se zindagi sa kya jhaDa hai

    faqat aankhen hi aankhen rah gai hain

    ki sara shahr miTTi mein gaDa hai

    tumhaara aks hai ya aks-e-duniya

    tazabzub sa kuchh aankhon mein paDa hai

    main dariya jaan bachata phir raha hun

    koi sahil mere pichhe paDa hai

    zara si sharm bhi kar farhat-'ehsas'

    badan tera ajab chikna ghaDa hai

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now