badan ki sakh to poshak se nahin banti
badan kī saakh to poshāk se nahīñ bantī
kahānī harf-e-havasnāk se nahīñ bantī
mire vujūd meñ aane kā tazkira hī kyā
maiñ jāntā huuñ mirī chaak se nahīñ bantī
maiñ ḳhvāb-zād huuñ aur ḳhvāb hī se bhāgtā huuñ
maiñ ḳhāk-zād huuñ aur ḳhaak se nahīñ bantī
gayā jo mauj meñ us kī vo Dūbtā hī gayā
us aañkh kī kisī pairāk se nahīñ bantī
badan ki sakh to poshak se nahin banti
kahani harf-e-hawasnak se nahin banti
mere wujud mein aane ka tazkira hi kya
main jaanta hun meri chaak se nahin banti
main KHwab-zad hun aur KHwab hi se bhagta hun
main KHak-zad hun aur KHak se nahin banti
gaya jo mauj mein us ki wo Dubta hi gaya
us aankh ki kisi pairak se nahin banti
- Book : Shaam Ke Baad Kuch Nahin (Pg. 67)
- Author :Shaheen Abbas
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.