badan samundar ke lahron jaisa aur aankh dariya-e-nil jaisi

badan samundar ke lahron jaisa aur aankh dariya-e-nil jaisi
Shahbaz Nayyar
MORE BYShahbaz Nayyar
badan samundar ke lahroñ jaisā aur aañkh dariyā-e-nīl jaisī
ham in meñ bah jaa.eñ yaar lekin tirī tabī'at hai jhiil jaisī
hameñ safar meñ pata chalā thā ki us kī manzil thī aur koī
hamārī to haisiyat rahī sirf raah ke sang-e-mīl jaisī
maiñ chāhtā huuñ hasīn logoñ kā zikr she'roñ meñ jab bhī aa.e
ġhazal kā lahja 'farāz' jaisā ho naġhmagī ho 'qatīl' jaisī
hamāre ash'ār be-asar haiñ hamārā andāz 'āmiyāna
tumhārī har baat viral hai kisī hasīna kī reel jaisī
kahāñ ga.e mo’jizoñ ke munkir ab aa.eñ 'shahbāz' aa ke dekheñ
hamāre khaddar-nasīb hāthoñ meñ hai kalā.ī shanīl jaisī
badan samundar ke lahron jaisa aur aankh dariya-e-nil jaisi
hum in mein bah jaen yar lekin teri tabi'at hai jhil jaisi
hamein safar mein pata chala tha ki us ki manzil thi aur koi
hamari to haisiyat rahi sirf rah ke sang-e-mil jaisi
main chahta hun hasin logon ka zikr she'ron mein jab bhi aae
ghazal ka lahja 'faraaz' jaisa ho naghmagi ho 'qatil' jaisi
hamare ash'ar be-asar hain hamara andaz 'amiyana
tumhaari har baat wiral hai kisi hasina ki reel jaisi
kahan gae mo’jizon ke munkir ab aaen 'shahbaz' aa ke dekhen
hamare khaddar-nasib hathon mein hai kalai shanil jaisi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.