Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

badan tha soya hua ruh jagti hui thi

Salim Saleem

badan tha soya hua ruh jagti hui thi

Salim Saleem

MORE BYSalim Saleem

    badan thā soyā huā ruuh jāgtī huī thī

    ye kaisī raat mire darmiyāñ rukī huī thī

    maiñ sajda-rez huuñ dahlīz-e-āsmāñ pe abhī

    ki mujh ko ḳhil'at-e-ḳhāKī yahīñ milī huī thī

    chaTaḳh ke Tuut ga.ī hai to ban ga.ī āvāz

    jo mere siine meñ ik roz ḳhāmushī huī thī

    baḌhā ke rakkhā gayā hai hisāb-e-roz-e-jazā

    na jaane is ke liye kaun kamī huī thī

    chamak ga.e mirī āñkhoñ meñ anfus-o-āfāq

    ki tere dhyān se dam-bhar ko raushnī huī thī

    jalā gayā hai lahū meñ koī charāġh-e-suḳhan

    bahut dinoñ se tabī'at mirī bujhī huī thī

    badan tha soya hua ruh jagti hui thi

    ye kaisi raat mere darmiyan ruki hui thi

    main sajda-rez hun dahliz-e-asman pe abhi

    ki mujh ko KHil'at-e-KHaKi yahin mili hui thi

    chaTaKH ke Tut gai hai to ban gai aawaz

    jo mere sine mein ek roz KHamushi hui thi

    baDha ke rakkha gaya hai hisab-e-roz-e-jaza

    na jaane is ke liye kaun si kami hui thi

    chamak gae meri aankhon mein anfus-o-afaq

    ki tere dhyan se dam-bhar ko raushni hui thi

    jala gaya hai lahu mein koi charagh-e-suKHan

    bahut dinon se tabi'at meri bujhi hui thi

    Source:

    Wahima Vajood Ka (Pg. 67)

    • Author: Salim Saleem
      • Edition: 2nd
      • Publisher: Rekhta Publications
      • Year of Publication: 2022

    Source:

    Sabhi Rang Tumhare Nikle (Pg. 70)

    • Author: Salim Saleem
      • Edition: First
      • Publisher: Rekhta Publications
      • Year of Publication: 2017
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now