baDe bechain phirte ho zara so kyon nahin lete

baDe bechain phirte ho zara so kyon nahin lete
Surendra Bhatia Salil
MORE BYSurendra Bhatia Salil
baḌe bechain phirte ho zarā so kyoñ nahīñ lete
uThā.e phir rahe ho ḳhvāhisheñ ro kyoñ nahīñ lete
vahī ab bhī sadā detā huā aatā idhar hogā
to bāñheñ khol us ke aaj bas ho kyoñ nahīñ lete
tumhārī ruuh tak pohñcheñgī chhīñTeñ dekhte jaao
abhī bas haath maile haiñ inheñ dho kyoñ nahīñ lete
havās-o-hosh meñ rahne kā koī hukm thoḌī hai
maza hai be-ḳhudī meñ ḳhud ḳhudā ho kyoñ nahīñ lete
baDe bechain phirte ho zara so kyon nahin lete
uThae phir rahe ho KHwahishen ro kyon nahin lete
wahi ab bhi sada deta hua aata idhar hoga
to banhen khol us ke aaj bas ho kyon nahin lete
tumhaari ruh tak pohnchengi chhinTen dekhte jao
abhi bas hath maile hain inhen dho kyon nahin lete
hawas-o-hosh mein rahne ka koi hukm thoDi hai
maza hai be-KHudi mein KHud KHuda ho kyon nahin lete
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.