Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

baDh kar kisi se hath milane nahin gae

Chandrashekhar Pandey Shams

baDh kar kisi se hath milane nahin gae

Chandrashekhar Pandey Shams

MORE BYChandrashekhar Pandey Shams

    baḌh kar kisī se haath milāne nahīñ ga.e

    tevar vahī haiñ ab bhī purāne nahīñ ga.e

    dālān apnī chhān ke baiThe tamām umr

    chakkar kisī mahal lagāne nahīñ ga.e

    jab bhī ga.e to baiTh ga.e paañv ke tale

    ġhalatī se bhī baḌoñ ke sirhāne nahīñ ga.e

    mahfil meñ terī shor hai mere naam

    jaane ke baad bhī vo fasāne nahīñ ga.e

    apne hunar se 'shams' the jugnū the jo bhī the

    photo kisī ke saath khiñchāne nahīñ ga.e

    baDh kar kisi se hath milane nahin gae

    tewar wahi hain ab bhi purane nahin gae

    dalan apni chhan ke baiThe tamam umr

    chakkar kisi mahal ka lagane nahin gae

    jab bhi gae to baiTh gae panw ke tale

    ghalati se bhi baDon ke sirhane nahin gae

    mahfil mein teri shor hai mere hi nam ka

    jaane ke baad bhi wo fasane nahin gae

    apne hunar se 'shams' the jugnu the jo bhi the

    photo kisi ke sath khinchane nahin gae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now