Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

baDha di ek nazar mein tu ne kya tauqir patthar ki

Habeeb Moosavi

baDha di ek nazar mein tu ne kya tauqir patthar ki

Habeeb Moosavi

MORE BYHabeeb Moosavi

    baḌhā ik nazar meñ ne kyā tauqīr patthar

    banā kohl-ul-basar allāh re taqdīr patthar

    asīr-e-zulf kyūñkar chhuT sakeñge qaid-e-vahshat se

    ki hai har jāda-e-dasht-e-junūñ zanjīr patthar

    ye jalva hai kunisht-o-dair meñ saan.e qudrat

    ki dāva-e-ḳhudā.ī kartī hai tasvīr patthar

    talāsh-e-rizq meñ ho āsiyā tarah sargardāñ

    agar daanā hai bhī siikh le tadbīr patthar

    batā sañg-e-jarāhat aa ke zaḳhm-e-teġh-e-abrū par

    huā achchhā tire āshiq ko ta.azīr patthar

    fusūn-e-chashm-e-qātil se banā huuñ sehr putlā

    jo chhū le merī gardan ko to ho shamshīr patthar

    shab-e-furqat meñ jo soche the karte vo shikāyat kyā

    nazar karte un par ban ga.e tasvīr patthar

    na niklī hai na niklegī jamī hai dil meñ jo un ke

    miTāne se bhī miTtī hai kahīñ tahrīr patthar

    sazā-e-ishq-e-mizhgān-e-butān-e-sañg-dil paa.ī

    huī bārish har ik jānib se ham par tiir patthar

    na farq aayā 'habīb'-e-sābir-o-shākir rāhat meñ

    banā duniyā meñ qismat likhā tahrīr patthar

    baDha di ek nazar mein tu ne kya tauqir patthar ki

    bana kohl-ul-basar allah re taqdir patthar ki

    asir-e-zulf kyunkar chhuT sakenge qaid-e-wahshat se

    ki hai har jada-e-dasht-e-junun zanjir patthar ki

    ye jalwa hai kunisht-o-dair mein sane ki qudrat ka

    ki dawa-e-KHudai karti hai taswir patthar ki

    talash-e-rizq mein ho aasiya ki tarah sargardan

    agar dana hai tu bhi sikh le tadbir patthar ki

    bata sang-e-jarahat aa ke zaKHm-e-tegh-e-abru par

    hua achchha tere aashiq ko di tazir patthar ki

    fusun-e-chashm-e-qatil se bana hun sehr ka putla

    jo chhu le meri gardan ko to ho shamshir patthar ki

    shab-e-furqat mein jo soche the karte wo shikayat kya

    nazar karte hi un par ban gae taswir patthar ki

    na nikli hai na niklegi jami hai dil mein jo un ke

    miTane se bhi miTti hai kahin tahrir patthar ki

    saza-e-ishq-e-mizhgan-e-butan-e-sang-dil pai

    hui barish har ek jaanib se hum par tir patthar ki

    na farq aaya 'habib'-e-sabir-o-shakir ki rahat mein

    bana duniya mein qismat ka likha tahrir patthar ki

    Source:

    Deewan-e-habeeb (Pg. ebook-279 page-264)

    • Author: Habeeb Moosavi
      • Publisher: Ufuq Matba Shamshi, Hydrabad
      • Year of Publication: 1900
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now