Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

baDhti jati hai KHayalon ki thakan aaKHir-e-shab

Meer Naqi Ali Khan Saqib

baDhti jati hai KHayalon ki thakan aaKHir-e-shab

Meer Naqi Ali Khan Saqib

MORE BYMeer Naqi Ali Khan Saqib

    baḌhtī jaatī hai ḳhayāloñ thakan āḳhir-e-shab

    TūTne lagte haiñ yādoñ ke badan āḳhir-e-shab

    saarī duniyā hai siyāhī ke samundar tarah

    chhīn vaqt ne ek ek kiran āḳhir-e-shab

    raushnī ban ke dabe paañv chalā aatā hai

    un darīchoñ se tirā sāñvalā-pan āḳhir-e-shab

    thak ke baiThī hai kahīñ duur musāfir tarah

    mere ḳhvāboñ se mirī sub.h-e-chaman āḳhir-e-shab

    har bun-e-mū se chhalakne lagī yādoñ sharāb

    aur gulnār huā terā badan āḳhir-e-shab

    ek ik ḳhvāb yahīñ dafn huā hai 'sāqib'

    dekhnā sog meñ hai arz-e-dakan āḳhir-e-shab

    baDhti jati hai KHayalon ki thakan aaKHir-e-shab

    TuTne lagte hain yaadon ke badan aaKHir-e-shab

    sari duniya hai siyahi ke samundar ki tarah

    chhin li waqt ne ek ek kiran aaKHir-e-shab

    raushni ban ke dabe panw chala aata hai

    un darichon se tera sanwala-pan aaKHir-e-shab

    thak ke baiThi hai kahin dur musafir ki tarah

    mere KHwabon se meri subh-e-chaman aaKHir-e-shab

    har bun-e-mu se chhalakne lagi yaadon ki sharab

    aur gulnar hua tera badan aaKHir-e-shab

    ek ek KHwab yahin dafn hua hai 'saqib'

    dekhna sog mein hai arz-e-dakan aaKHir-e-shab

    Source:

    Dasht-e-Narsa (Pg. B-39 E-51)

    • Author: Meer Naqi Ali Khan Saqib
      • Edition: 1973
      • Publisher: Maktaba Sher-o-Hikmat, Hyderabad
      • Year of Publication: 1973
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now