Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

baDi jaani hui aawaz mein kis ne bulaya hai

Pankaj Subeer

baDi jaani hui aawaz mein kis ne bulaya hai

Pankaj Subeer

MORE BYPankaj Subeer

    baḌī jaanī huī āvāz meñ kis ne bulāyā hai

    koī guzre hue vaqtoñ se shāyad lauT aayā hai

    chalo ab soch kar ye sharāfat se bichhaḌ jaa.eñ

    ye dil-vil to javānī meñ sabhī ne lagāyā hai

    hameñ to lag rahā thā ye ki ham gumnām haiñ lekin

    kisī ne aaj phir darvāza dil khaTkhaTāyā hai

    hamārā naam aayā nahīñ puure fasāne meñ

    kahānī ko kuchh is andāz se us ne sunāyā hai

    hamāre dil vo āñgan jahāñ taare na the kal tak

    usī meñ chaudhvīñ chāñd puurā jagmagāyā hai

    na koī ḳhat milā ham ko nahīñ paiġhām koī par

    sunā dāvat us ne shahr meñ ruqqa ghumāyā hai

    baDi jaani hui aawaz mein kis ne bulaya hai

    koi guzre hue waqton se shayad lauT aaya hai

    chalo ab soch kar ye hi sharafat se bichhaD jaen

    ye dil-wil to jawani mein sabhi ne hi lagaya hai

    hamein to lag raha tha ye ki hum gumnam hain lekin

    kisi ne aaj phir darwaza dil ka khaTkhaTaya hai

    hamara nam hi aaya nahin pure fasane mein

    kahani ko kuchh is andaz se us ne sunaya hai

    hamare dil ka wo aangan jahan tare na the kal tak

    usi mein chaudhwin ka chand pura jagmagaya hai

    na koi KHat mila hum ko nahin paigham koi par

    suna dawat ka us ne shahr mein ruqqa ghumaya hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now