Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

badle hue haalat se mayus na hona

Waqif rae Barelvi

badle hue haalat se mayus na hona

Waqif rae Barelvi

MORE BYWaqif rae Barelvi

    badle hue hālāt se māyūs na honā

    insān ke jazbāt se māyūs na honā

    ye raat usī hai sahar bhī hai usī

    is dard-bharī raat se māyūs na honā

    har dil se udāsī bharam toḌte rahnā

    māyūs ḳhayālāt se māyūs na honā

    maanā ki bahut aag hai māhaul meñ lekin

    is mulk barsāt se māyūs na honā

    duniyā se bahut aas lagānā nahīñ ai dost

    duniyā kisī baat se māyūs na honā

    kuchh log zarā der meñ khulte haiñ kisī se

    pahlī mulāqāt se māyūs na honā

    āvāra savālāt manzil bhī hai 'vāqif'

    duniyā ke javābāt se māyūs na honā

    badle hue haalat se mayus na hona

    insan ke jazbaat se mayus na hona

    ye raat usi ki hai sahar bhi hai usi ki

    is dard-bhari raat se mayus na hona

    har dil se udasi ka bharam toDte rahna

    mayus KHayalat se mayus na hona

    mana ki bahut aag hai mahaul mein lekin

    is mulk ki barsat se mayus na hona

    duniya se bahut aas lagana nahin ai dost

    duniya ki kisi baat se mayus na hona

    kuchh log zara der mein khulte hain kisi se

    pahli hi mulaqat se mayus na hona

    aawara sawalat ki manzil bhi hai 'waqif'

    duniya ke jawabaat se mayus na hona

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 322)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now