Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

badlegi KHud hi duniya raftar rafta rafta

Zaheer Nashad Darbhangwi

badlegi KHud hi duniya raftar rafta rafta

Zaheer Nashad Darbhangwi

MORE BYZaheer Nashad Darbhangwi

    badlegī ḳhud duniyā raftār rafta rafta

    har zarra ho rahā hai bedār rafta rafta

    rangīnī-e-chaman hai kis ke lahū sadqa

    tārīḳh ḳhud karegī iqrār rafta rafta

    aalam yahī rahā jo arbāb-e-gulsitāñ

    maqtal banegā ik din gulzār rafta rafta

    hai ibtidā-e-ulfat kuchh aur muskurā lo

    rātoñ niiñd hogī dushvār rafta rafta

    kyā kyā na dostī pahle huī numā.ish

    phir darmiyāñ meñ uTThī dīvār rafta rafta

    'nāshād' zindagī ne jo kuchh mujhe diyā hai

    sheroñ meñ kar rahā huuñ iz.hār rafta rafta

    badlegi KHud hi duniya raftar rafta rafta

    har zarra ho raha hai bedar rafta rafta

    rangini-e-chaman hai kis ke lahu ka sadqa

    tariKH KHud karegi iqrar rafta rafta

    aalam yahi raha jo arbab-e-gulsitan ka

    maqtal banega ek din gulzar rafta rafta

    hai ibtida-e-ulfat kuchh aur muskura lo

    raaton ki nind hogi dushwar rafta rafta

    kya kya na dosti ki pahle hui numaish

    phir darmiyan mein uTThi diwar rafta rafta

    'nashad' zindagi ne jo kuchh mujhe diya hai

    sheron mein kar raha hun izhaar rafta rafta

    Source:

    Nawa-e-Khunchakan (Pg. 10)

    • Author: Zaheer Nashad Darbhangwi
      • Publisher: Mah Jabeen Kitab Ghar, Darbhanga, Bihar
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now