Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

badli si apni aaankhon mein chhai hui si hai

Kaleem Aajiz

badli si apni aaankhon mein chhai hui si hai

Kaleem Aajiz

MORE BYKaleem Aajiz

    badlī apnī ā.ankhoñ meñ chhā.ī huī hai

    bhūlī huī yaad phir aa.ī huī hai

    mat haath rakh sulagte kaleje pe ham-nashīñ

    ye aag dekhne meñ bujhā.ī huī hai

    letā huuñ saañs bhī to bhaTaktā hai tan-badan

    rag rag meñ ek nok samā.ī huī hai

    be-sāḳhta kahe hai jo dekhe hai zaḳhm-e-dil

    ye choT to unhīñ lagā.ī huī hai

    muddat huī jalā.ī ga.ī shāḳh-e-āshiyāñ

    ab tak isī tarah se jalā.ī huī hai

    jo in baat hai vahī merī ġhazal baat

    lekin zarā ye baat banā.ī huī hai

    chheḌī ġhazal jo tum ne to aisā lagā 'kalīm'

    ḳhushbū kisī zulf aa.ī huī hai

    badli si apni aaankhon mein chhai hui si hai

    bhuli hui si yaad phir aai hui si hai

    mat hath rakh sulagte kaleje pe ham-nashin

    ye aag dekhne mein bujhai hui si hai

    leta hun sans bhi to bhaTakta hai tan-badan

    rag rag mein ek nok samai hui si hai

    be-saKHta kahe hai jo dekhe hai zaKHm-e-dil

    ye choT to unhin ki lagai hui si hai

    muddat hui jalai gai shaKH-e-ashiyan

    ab tak isi tarah se jalai hui si hai

    jo in ki baat hai wahi meri ghazal ki baat

    lekin zara ye baat banai hui si hai

    chheDi ghazal jo tum ne to aisa laga 'kalim'

    KHushbu kisi ki zulf ki aai hui si hai

    Source:

    Jab Fasl-e-baharn aai thi (Pg. 205)

    • Author: padm Shri Dr. Kaleem Ahmed Aajiz
      • Edition: 1990
      • Publisher: Sunrise Plastic Works, Patna
      • Year of Publication: 1990
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now