baghair naw ke dariya ko par karna hai
baġhair naav ke dariyā ko paar karnā hai
safar ke saath mujhe intizār karnā hai
visāl-e-yār kī yādoñ pe guftugū kiije
tavīl hijr agar ḳhush-gavār karnā hai
vo apne lab bhī mire lab ke paas lā.egā
jabīn chuum use sogvār karnā hai
udaas laḌkiyoñ ko marg-e-nā-gahāñ se qabl
gharoñ kī qaid se yā-rab farār karnā hai
namī zamīn kī paañv se chuum kar 'ālok'
nadī nadī ko use mauj-dār karnā hai
baghair naw ke dariya ko par karna hai
safar ke sath mujhe intizar karna hai
visal-e-yar ki yaadon pe guftugu kije
tawil hijr agar KHush-gawar karna hai
wo apne lab bhi mere lab ke pas laega
jabin chum use sogwar karna hai
udas laDkiyon ko marg-e-na-gahan se qabl
gharon ki qaid se ya-rab farar karna hai
nami zamin ki panw se chum kar 'alok'
nadi nadi ko use mauj-dar karna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.