Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

baghair shabdon ki ek rachna suna rahi hain tumhaari aankhen

Wasif Farooqi

baghair shabdon ki ek rachna suna rahi hain tumhaari aankhen

Wasif Farooqi

MORE BYWasif Farooqi

    baġhair shabdoñ ek rachnā sunā rahī haiñ tumhārī āñkheñ

    tumhāre siine meñ kyā taḌap hai batā rahī haiñ tumhārī āñkheñ

    nahīñ hai ye koī giit merā ye koī merī ġhazal nahīñ hai

    vahī maiñ kāġhaz pe likh rahā huuñ jo rahī haiñ tumhārī āñkheñ

    mirī mohabbat ke aa.ine se tum apnī āñkheñ churā rahī ho

    magar mire dil ko chupke chupke churā rahī haiñ tumhārī āñkheñ

    paḌī hai jab se tumhārī chhāyā nadī paanī chamak uThā hai

    ki bahte dariyā meñ diip jaise jalā rahī haiñ tumhārī āñkheñ

    tumhārī āñkhoñ ke surḳh Dore kahāniyāñ sunā rahe haiñ

    tumhārī nīñdeñ uḌī uḌī haiñ batā rahī haiñ tumhārī āñkheñ

    maiñ dil ke kāġhaz pe jis ġhazal ko likhe hue huuñ na jaane kab se

    mujhe lagā hai vahī ġhazal gungunā rahī haiñ tumhārī āñkheñ

    baghair shabdon ki ek rachna suna rahi hain tumhaari aankhen

    tumhaare sine mein kya taDap hai bata rahi hain tumhaari aankhen

    nahin hai ye koi git mera ye koi meri ghazal nahin hai

    wahi main kaghaz pe likh raha hun jo ga rahi hain tumhaari aankhen

    meri mohabbat ke aaine se tum apni aankhen chura rahi ho

    magar mere dil ko chupke chupke chura rahi hain tumhaari aankhen

    paDi hai jab se tumhaari chhaya nadi ka pani chamak uTha hai

    ki bahte dariya mein dip jaise jala rahi hain tumhaari aankhen

    tumhaari aankhon ke surKH Dore kahaniyan si suna rahe hain

    tumhaari ninden uDi uDi hain bata rahi hain tumhaari aankhen

    main dil ke kaghaz pe jis ghazal ko likhe hue hun na jaane kab se

    mujhe laga hai wahi ghazal gunguna rahi hain tumhaari aankhen

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now