Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bagulon ka bulawa aa chuka hai dekhte kya ho

Abid Almi

bagulon ka bulawa aa chuka hai dekhte kya ho

Abid Almi

MORE BYAbid Almi

    bagūloñ bulāvā aa chukā hai dekhte kyā ho

    chalo qadmoñ meñ ab to rāsta hai dekhte kyā ho

    samundar se lipaT kar dil har armāñ nikāl aao

    talātum ab tumhārā nāḳhudā hai dekhte kyā ho

    abhī bhī vaqt hai ai dosto is ko badal Daalo

    bahut zahrīlī ye āb-o-havā hai dekhte kyā ho

    falak to sirf āñkhoñ ko thakāne bahāna hai

    nikal lo haath bhar fāsla hai dekhte kyā ho

    uTho aur is meñ mil jaao ki saarā kārvāñ 'ābid'

    tumhāre vāste Thahrā huā hai dekhte kyā ho

    bagulon ka bulawa aa chuka hai dekhte kya ho

    chalo qadmon mein ab to rasta hai dekhte kya ho

    samundar se lipaT kar dil ka har arman nikal aao

    talatum ab tumhaara naKHuda hai dekhte kya ho

    abhi bhi waqt hai ai dosto is ko badal Dalo

    bahut zahrili ye aab-o-hawa hai dekhte kya ho

    falak to sirf aankhon ko thakane ka bahana hai

    nikal lo hath bhar ka fasla hai dekhte kya ho

    uTho aur is mein mil jao ki sara karwan 'abid'

    tumhaare waste Thahra hua hai dekhte kya ho

    Source:

    (Pg. 28)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now