aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bahaar aai ba-tang aaya dil-e-wahshat-panah apna

Wali Uzlat

bahaar aai ba-tang aaya dil-e-wahshat-panah apna

Wali Uzlat

MORE BYWali Uzlat

    bahār aa.ī ba-tañg aayā dil-e-vahshat-panāh apnā

    karūñ kyā hai yahī chāk-e-garebāñ dastgāh apnā

    Tapaktī jo tarah sumbul se hove pai-ba-pai shabnam

    hamāre haal par rone lagā ab dūd-e-āh apnā

    mirā dil lete kar chashm-poshī mujh se muñh pherā

    nazar aatā nahīñ kuchh mujh ko dilbar se nibāh apnā

    sitam se tasallī us kamāñ-abrū ke qurbāñ huuñ

    rag-e-jāñ kar diyā dil ko mire tīr-e-nigāh apnā

    harjā.ī na ho ghaT jā.egā juuñ zar ayāroñ meñ

    ye 'uzlat' banda apnā fidvī apnā ḳhair-ḳhvāh apnā

    bahaar aai ba-tang aaya dil-e-wahshat-panah apna

    karun kya hai yahi chaak-e-gareban dastgah apna

    Tapakti jo tarah sumbul se howe pai-ba-pai shabnam

    hamare haal par rone laga ab dud-e-ah apna

    mera dil lete hi kar chashm-poshi mujh se munh phera

    nazar aata nahin kuchh mujh ko dilbar se nibah apna

    sitam se di tasalli us kaman-abru ke qurban hun

    rag-e-jaan kar diya dil ko mere tir-e-nigah apna

    tu harjai na ho ghaT jaega jun zar ayaron mein

    ye 'uzlat' banda apna fidwi apna KHair-KHwah apna

    RECITATIONS

    Fasih Akmal

    Fasih Akmal,

    Fasih Akmal

    bahaar aai ba-tang aaya dil-e-wahshat-panah apna Fasih Akmal

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now