Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bahaar aai hai phir chaman mein nasim iThla ke chal rahi hai

Agha Shayar Qazalbash

bahaar aai hai phir chaman mein nasim iThla ke chal rahi hai

Agha Shayar Qazalbash

MORE BYAgha Shayar Qazalbash

    bahār aa.ī hai phir chaman meñ nasīm iThlā ke chal rahī hai

    har ek ġhuncha chaTak rahā hai guloñ rañgat badal rahī hai

    vo aa ga.e lo vo uThā maiñ adū ummīd-e-yās Thahrī

    ajab tamāshā hai dil-lagī hai qazā khaḌī haath mal rahī hai

    batāo dil duuñ na duuñ kaho to ajiib nāzuk mo.āmla hai

    idhar to dekho nazar milāo ye kis shoḳhī machal rahī hai

    taḌap rahā huuñ yahāñ maiñ tanhā vahāñ adū se vo ham-baġhal haiñ

    kisī ke dam par banī huī hai kisī hasrat nikal rahī hai

    ghaTā vo chhā.ī vo abr uTThā yahī to hai vaqt mai-kashī

    bulāo 'shā.ir' ko hai kahāñ vo sharāb shīshe se Dhal rahī hai

    bahaar aai hai phir chaman mein nasim iThla ke chal rahi hai

    har ek ghuncha chaTak raha hai gulon ki rangat badal rahi hai

    wo aa gae lo wo ji uTha main adu ki ummid-e-yas Thahri

    ajab tamasha hai dil-lagi hai qaza khaDi hath mal rahi hai

    batao dil dun na dun kaho to ajib nazuk moamla hai

    idhar to dekho nazar milao ye kis ki shoKHi machal rahi hai

    taDap raha hun yahan main tanha wahan adu se wo ham-baghal hain

    kisi ke dam par bani hui hai kisi ki hasrat nikal rahi hai

    ghaTa wo chhai wo abr uTTha yahi to hai waqt mai-kashi ka

    bulao 'shair' ko hai kahan wo sharab shishe se Dhal rahi hai

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now