Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bahaar aai kar ai baghban gulab qalam

Peer Sher Mohammad Ajiz

bahaar aai kar ai baghban gulab qalam

Peer Sher Mohammad Ajiz

MORE BYPeer Sher Mohammad Ajiz

  bahār aa.ī kar ai bāġhbāñ gulāb qalam

  ki likkhe vasf-e-ruḳh-e-yār kitāb qalam

  na khīñche chehra-e-pur-nūr par naqāb qalam

  kare na kāġhaz-e-tasvīr ko ḳharāb qalam

  jo qasd ho ruḳh-e-raushan ke vasf likhne

  falak se le varaq-e-māh-o-āftāb qalam

  hikāyat-e-dil-e-be-tāb tuul rakhtī hai

  na kar likhne meñ itnā bhī iztirāb qalam

  bayān-e-zulf-e-chalīpā meñ qit.a likh likh kar

  dikhā.e ḳhatt-e-shikasta pech-o-tāb qalam

  hubāb se bhī bahut kam hai ziist vaqfa

  hadīs-e-kashtī-e-mai meñ chale shitāb qalam

  likhe na ātish-e-mai hikāyateñ aage

  jigar na bāda-kashoñ ke kare kabāb qalam

  shabīh khīñgā ik gul ke qadd-e-mauzūñ

  likhegā misra-e-shamshād javāb qalam

  hikāyat-e-shab-e-hijrāñ likho na ai 'ājiz'

  hamārī jān-e-hazīñ na ho azaab qalam

  bahaar aai kar ai baghban gulab qalam

  ki likkhe wasf-e-ruKH-e-yar ki kitab qalam

  na khinche chehra-e-pur-nur par naqab qalam

  kare na kaghaz-e-taswir ko KHarab qalam

  jo qasd ho ruKH-e-raushan ke wasf likhne ka

  falak se le waraq-e-mah-o-aftab qalam

  hikayat-e-dil-e-be-tab tul rakhti hai

  na kar tu likhne mein itna bhi iztirab qalam

  bayan-e-zulf-e-chalipa mein qita likh likh kar

  dikhae KHatt-e-shikasta ka pech-o-tab qalam

  hubab se bhi bahut kam hai zist ka waqfa

  hadis-e-kashti-e-mai mein chale shitab qalam

  likhe na aatish-e-mai ki hikayaten aage

  jigar na baada-kashon ke kare kabab qalam

  shabih khinga ek gul ke qadd-e-mauzun ki

  likhega misra-e-shamshad ka jawab qalam

  hikayat-e-shab-e-hijran likho na ai 'ajiz'

  hamari jaan-e-hazin ka na ho azab qalam

  ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

  ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

  મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY

  Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

  GET YOUR PASS
  Speak Now