bahaar aai taraqqi par hai sauda dam-ba-dam mera

bahaar aai taraqqi par hai sauda dam-ba-dam mera
Chakbast Braj Narayan
MORE BYChakbast Braj Narayan
bahār aa.ī taraqqī par hai saudā dam-ba-dam merā
baḌhā jaatā hai ḳhud zanjīr kī jānib qadam merā
likhā ye dāvar-e-mahshar ne merī fard-e-'isyāñ par
ye vo banda hai jis par naaz kartā hai karam merā
kashākash hai umīd-o-yās kī ye zindagī kyā hai
ilāhī aisī hastī se to achchhā thā 'adam merā
dil-e-ahbāb meñ ghar hai shagufta rahtī hai ḳhātir
yahī jannat hai merī aur yahī bāġh-e-iram merā
mujhe ahbāb kī pursish kī ġhairat maar Dālegī
qayāmat hai agar ifshā huā rāz-e-alam merā
khaḌī thiiñ rāsta roke hue lākhoñ tamannā.eñ
shahīd-e-yās thā niklā hai kis mushkil se dam merā
zabān-e-hāl se ye lakhna.ū kī ḳhaak kahtī hai
miTāyā gardish-e-aflāk ne jāh-o-hasham merā
bahaar aai taraqqi par hai sauda dam-ba-dam mera
baDha jata hai KHud zanjir ki jaanib qadam mera
likha ye dawar-e-mahshar ne meri fard-e-'isyan par
ye wo banda hai jis par naz karta hai karam mera
kashakash hai umid-o-yas ki ye zindagi kya hai
ilahi aisi hasti se to achchha tha 'adam mera
dil-e-ahbab mein ghar hai shagufta rahti hai KHatir
yahi jannat hai meri aur yahi bagh-e-iram mera
mujhe ahbab ki pursish ki ghairat mar Dalegi
qayamat hai agar ifsha hua raaz-e-alam mera
khaDi thin rasta roke hue lakhon tamannaen
shahid-e-yas tha nikla hai kis mushkil se dam mera
zaban-e-haal se ye lakhnau ki KHak kahti hai
miTaya gardish-e-aflak ne jah-o-hasham mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.