Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bahaar-e-mahfil-e-yaran sajai jati hai

Nashir Naqvi

bahaar-e-mahfil-e-yaran sajai jati hai

Nashir Naqvi

MORE BYNashir Naqvi

    bahār-e-mahfil-e-yārāñ sajā.ī jaatī hai

    hamāre haath se ab pārsā.ī jaatī hai

    añdherī raat meñ palkoñ pe diip jalte haiñ

    tasavvurāt mahfil sajā.ī jaatī hai

    chhupā chhupā ke chalo manzaroñ se āñkhoñ ko

    ki is tarah bhī nazar safā.ī jaatī hai

    ye kyā jagah hai jahāñ daaġh daaġh sīnoñ meñ

    ḳhud apnī baat bhī ḳhud se chhupā.ī jaatī hai

    har ek sub.h-e-tamannā shahr sajtā hai

    har ek shab na.ī duniyā basā.ī jaatī hai

    isī naam zamāne ne rakh liyā aañsū

    ye merī pyaas jo āñkhoñ meñ aa.ī jaatī hai

    har ek zehn meñ hotā hai rang-e-ḳhāk-e-vatan

    zamīñ ḳhushbū zamīroñ meñ paa.ī jaatī hai

    bacheñ to kaise bacheñ apne saa.e se 'nāshir'

    badan dhuup muñDeroñ tak aa.ī jaatī hai

    bahaar-e-mahfil-e-yaran sajai jati hai

    hamare hath se ab parsai jati hai

    andheri raat mein palkon pe dip jalte hain

    tasawwuraat ki mahfil sajai jati hai

    chhupa chhupa ke chalo manzaron se aankhon ko

    ki is tarah bhi nazar ki safai jati hai

    ye kya jagah hai jahan dagh dagh sinon mein

    KHud apni baat bhi KHud se chhupai jati hai

    har ek subh-e-tamanna ka shahr sajta hai

    har ek shab nai duniya basai jati hai

    isi ka nam zamane ne rakh liya aansu

    ye meri pyas jo aankhon mein aai jati hai

    har ek zehn mein hota hai rang-e-KHak-e-watan

    zamin ki KHushbu zamiron mein pai jati hai

    bachen to kaise bachen apne sae se 'nashir'

    badan ki dhup munDeron tak aai jati hai

    Source:

    Angnai (Pg. 98)

    • Author: Nashir Naqvi
      • Publisher: Educational Publishing House, Delhi
      • Year of Publication: 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now