Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bahaar mein bhi shagufta koi gulab nahin

Azeez Mubarakpur

bahaar mein bhi shagufta koi gulab nahin

Azeez Mubarakpur

MORE BYAzeez Mubarakpur

    bahār meñ bhī shagufta koī gulāb nahīñ

    shabāb hai zamāna magar shabāb nahīñ

    sahar to aa.ī hai par sub.h-e-inqalāb nahīñ

    ye āftāb dhokā hai āftāb nahīñ

    lahūluhān chaman hai to dast pyāsā hai

    kahāñ kahāñ pe karam aap janāb nahīñ

    ḳhizāñ daur to guzrā ḳhudā ḳhudā kar ke

    bahār aa.ī to mai-ḳhāne meñ sharāb nahīñ

    ajiib hai tirī dariyā-dilī afsāna

    ki faiz-e-ām hai aur koī faizyāb nahīñ

    alam-nasīb ke chehre ko kaun paḌhtā hai

    ki ye kitāb nashāt-āfrīñ kitāb nahīñ

    junūñ ke saaz pe kar legā raqs dīvāna

    balā se aaj agar naġhma-e-rabāb nahīñ

    kisī bazm meñ ġhairat se dam ghuTā jaa.e

    magar zamīr-faroshoñ ko kuchh hijāb nahīñ

    bujhā sake na mazālim ke tund jhoñke bhī

    charāġh-e-hausla-e-shauq javāb nahīñ

    ḳharāb rahtā hai māhaul kyoñ ḳhudā jaane

    is anjuman meñ to ab koī bhī ḳharāb nahīñ

    'azīz' ḳhud ko bachāo nazar ke dhoke se

    dhueñ raqs fazā meñ hai ye sahāb nahīñ

    bahaar mein bhi shagufta koi gulab nahin

    shabab ka hai zamana magar shabab nahin

    sahar to aai hai par subh-e-inqalab nahin

    ye aaftab ka dhoka hai aaftab nahin

    lahuluhan chaman hai to dast pyasa hai

    kahan kahan pe karam aap ka janab nahin

    KHizan ka daur to guzra KHuda KHuda kar ke

    bahaar aai to mai-KHane mein sharab nahin

    ajib hai teri dariya-dili ka afsana

    ki faiz-e-am hai aur koi faizyab nahin

    alam-nasib ke chehre ko kaun paDhta hai

    ki ye kitab nashat-afrin kitab nahin

    junun ke saz pe kar lega raqs diwana

    bala se aaj agar naghma-e-rabab nahin

    kisi ka bazm mein ghairat se dam ghuTa jae

    magar zamir-faroshon ko kuchh hijab nahin

    bujha sake na mazalim ke tund jhonke bhi

    charagh-e-hausla-e-shauq ka jawab nahin

    KHarab rahta hai mahaul kyon KHuda jaane

    is anjuman mein to ab koi bhi KHarab nahin

    'aziz' KHud ko bachao nazar ke dhoke se

    dhuen ka raqs faza mein hai ye sahab nahin

    Source:

    Shahr-e-Hayat (Pg. 72)

    • Author: Azeez Mubarakpur
      • Publisher: Tanveer Ahmad Tanveer
      • Year of Publication: 2012
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now