Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bahr-e-ulfat ka kahin koi kinara hi nahin

Bismil Aazmi

bahr-e-ulfat ka kahin koi kinara hi nahin

Bismil Aazmi

MORE BYBismil Aazmi

    bahr-e-ulfat kahīñ koī kinārā nahīñ

    dasht-e-furqat dil-afroz nazārā nahīñ

    ab na taḌpāo mujhe chāragarī ḳhātir

    aa bhī jaao ki mujhe zabt yaarā nahīñ

    maiñ ne paimān-e-vafā bāñdh liyā hai us se

    jis ko ik lamha mirā saath gavārā nahīñ

    milte pher liiñ is tarah nigāheñ sab ne

    aisā lagtā hai koī un meñ hamārā nahīñ

    apnī āshufta-sarī jo mudāvā kartā

    asr-e-hāzir meñ koī aisā sahārā nahīñ

    aisā kyā thā ki payambar use kahtī duniyā

    dast-e-mānī ne koī naqsh ubhārā nahīñ

    ham ne 'bismil' ġham-o-ālām se bai'at kar

    mā-sivā in ke kisī ko bhī pukārā nahīñ

    bahr-e-ulfat ka kahin koi kinara hi nahin

    dasht-e-furqat ka dil-afroz nazara hi nahin

    ab na taDpao mujhe chaaragari ki KHatir

    aa bhi jao ki mujhe zabt ka yara hi nahin

    main ne paiman-e-wafa bandh liya hai us se

    jis ko ek lamha mera sath gawara hi nahin

    milte hi pher lin is tarah nigahen sab ne

    aisa lagta hai koi un mein hamara hi nahin

    apni aashufta-sari ka jo mudawa karta

    asr-e-hazir mein koi aisa sahaara hi nahin

    aisa kya tha ki payambar use kahti duniya

    dast-e-mani ne koi naqsh ubhaara hi nahin

    hum ne 'bismil' gham-o-alam se bai'at kar li

    ma-siwa in ke kisi ko bhi pukara hi nahin

    Source:

    Kasht-e-Dil (Pg. 57)

    • Author: Bismil Aazmi
      • Publisher: Educational Publishing House, Delhi
      • Year of Publication: 2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now