Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bahs uski meri waqt-e-mulaqat baDh gai

Mushafi Ghulam Hamdani

bahs uski meri waqt-e-mulaqat baDh gai

Mushafi Ghulam Hamdani

MORE BYMushafi Ghulam Hamdani

    bahs us merī vaqt-e-mulāqāt baḌh ga.ī

    bāteñ huiiñ kuchh aisī ki bas baat baḌh ga.ī

    bolā na murġh-e-sub.h na aa.ī sadā-e-āh

    yā-rab shab-e-firāq kyā raat baḌh ga.ī

    islāh bhī zarūrī hai ab is shaiḳh-jī

    dāḌhī tumhārī qibla-e-hājāt baḌh ga.ī

    pahuñche thā apnā dast-e-havas jis pe gaah gaah

    vo shāḳh-e-meva-dār bhī haihāt baḌh ga.ī

    shimla rakhā jo dosh pe lañgūr dum

    kyā is meñ shaiḳh-jī karāmāt baḌh ga.ī

    jis din se un pe parda-e-poshīdgī paḌā

    us din se qadr-e-ālam-e-jinnāt baḌh ga.ī

    diiñ gāliyāñ jo ne sanam ik ġharīb ko

    kyā gāliyāñ diye se tirī zaat baḌh ga.ī

    de 'mus.hafī' ko ne.amat-o-daulat ai karīm

    sab kaheñ ki us ab auqāt baḌh ga.ī

    bahs us ki meri waqt-e-mulaqat baDh gai

    baaten huin kuchh aisi ki bas baat baDh gai

    bola na murgh-e-subh na aai sada-e-ah

    ya-rab shab-e-firaq ki kya raat baDh gai

    islah bhi zaruri hai ab is ki shaiKH-ji

    daDhi tumhaari qibla-e-hajat baDh gai

    pahunche tha apna dast-e-hawas jis pe gah gah

    wo shaKH-e-mewa-dar bhi haihat baDh gai

    shimla rakha jo dosh pe langur ki si dum

    kya is mein shaiKH-ji ki karamat baDh gai

    jis din se un pe parda-e-poshidgi paDa

    us din se qadr-e-alam-e-jinnat baDh gai

    din galiyan jo tu ne sanam ek gharib ko

    kya galiyan diye se teri zat baDh gai

    de 'mushafi' ko neamat-o-daulat tu ai karim

    ta sab kahen ki us ki ab auqat baDh gai

    Source:

    kulliyat-e-mas.hafii(shashum) (Pg. 295)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now